Friday, May 15, 2020

Reasons to Join Pioneers Tutorials

 Reasons to Join Pioneers Tutorials
Reasons to Join Pioneers Tutorials
Hello Parents/Guardian/Student,

Q. Kya aap nahi chahte ki aapka bacha guarante ke saath pass ho jaye?

Q. Kya aap apne bache ke future ko lekr bahut pareshan h?

Q. Kya aapka bacha padhai me bahut Kamzor h?

 Agar aap in sawaalon se ghire huwe ho & ek behtareen classes dhund rahe ho jaha par students ko quality education & saath saath motivation bhi mile toh ye blog aapke liye h.

Q. Parents classes me apne bacho ka admission kyun karate hain?
↠ Students apni padhai ache se puri kare & Zindagi me kaamyaab ho sake.

Ab aapke is sapne ko poora karne ke liye Pioneers Tutorials ke bacho ko sikhane ke tarikhe ko samje.

Pioneers Paas ki Guarantee
Pioneers Paas ki Guarantee


Pioneers Tutorials deta hain aapke bache ke paas hone ki guarantee*.

Fail Hone par fee waapis.

Call : 7666-666-343

*90% Attendance Compulsary



Key Features of Pioneers Tutorials



1. Quality Education ✔️

2. Professional Teachers ✔️



3. Innovative Approach ✔️



4. Personal Attention ✔️


5. Daily Homework ✔️ 

6. Monthly Progress Report ✔️

7. Stress Free Environment ✔️

8. Et cetera, Et cetera, Et cetera.........✔️


Pioneers Core Values
Pioneers Core Values


Pioneers Tutorials ke dedicated staff aapke bache ki zindagi ko ek behtareen shape dene ke liye tayyar hain. Bas aapke Admission karane ka intezaar h. Admission enquiry ke liye yaha Click kare.

Tuesday, May 12, 2020

6 Things Govandikar must learn!!!

6 Things Govandikar must learn!!!

Govandi on Map - Azhar Khan
Govandi on Map - Azhar Khan
Hello Govandikar, Me Azhar khan aapka is blog (#Blog2) me swagat karta hun. aapka shukriya mere pehle blog ko pasand karne k liye. Duniya me idea sabke paas hota h, magar us idea ko action me laakar kaamyaab bahut kam log kar paate hain. Govandi ka haal kaisa h & kyun h sab jaante hain. magar sach baat toh ye hi "Jab galti sab logon ki hoti h, tab galti kisi ki nahi hoti".

Chalo thoda sa dimaag pr jor daal kar ye batao ki niche jo photos h wo konsi place h. Soch liye ab image pr jakr jagah ka naam bhi padh lo.

Guess The Place

Bandra East Slum

  

             Place 1



Bandra East Slum

              

                 Place 2




Ye dono hi Bandra East ke slum ki h. Chalo ab next image ko dekho.


Dharavi Slum - Mumbai
Dharavi Slum - Mumbai

Umid karta hun abtak aap samaj chuke honge ki Slum ek haalat se jyda mindset hain. Jaruri nahi ki agar aap chawl me rehte ho toh aap better life nahi ji sakte. So kya samje doston, poore Govandi ko Building me convert kar dene se humari problems nahi khatam hogi. Problems humare mind set me h, Use badalna jaruri h, Me kuch examples deta hun.


Most Common Habits of Most of the Govandikar

1. Poore Govandi ko 1 bada sa dustbin samajna.
Govandi Road with Garbage - Azhar Khan
Govandi Road with Garbage - Azhar Khan

  • Thodi si zimmedaari utha kar agar kachra road par na feke
  •  Khachra na uthane par BMC ko complaint kare.
  • Aas paas jama huwe kachre ko hatane ke liye BMC ko regular complaint kare.


 2. Saaf safai ki fikr na karna.

Tained Govandi site - Azhar Khan
  • Aas paas gandagi na ho iski fikr kare & logo ko bhi uske fayde samjaye.
  • Gandagi hone par BMC ko complaint kare.
  • Apne aas paas ke logo ko apne saath lekr saaf safai par discuss kare.                                                         




                            3. Unhygienic foods khana.
Unhygienic Food preparation - Azhar Khan
Unhygienic Food preparation - Azhar Khan
  • Street food nahi khana chahiye, magar bina saaf safai ke bane street foods toh touch bhi nahi karne chahiye.
  • Apne aas paas ke street foods walo ko kisi na kisi tarah saaf safai rakhne par majbur kare.
  • Bazaar karte waqt saaman wahi se le jaha saaf safai dikhe.
  • Apne jaan pehchaan walo ko bhi ye karne ke fayde bataye.
  • Jab log Bina saaf safai ka saaman lena band kr denge toh dukandaar ko saaf safai rakhna padega.
  • Cook ko glove pehen kr saaman banane ko force karna. 






                                                              4. Addiction - Nasha ka aadhi hona
Anti Drug Symbol - Azhar Khan
Anti Drug Symbol - Azhar Khan
  • Govandi ki yuwa pidi poori tarah nashe ki aadi banti ja rahi h.
  • Schools me padh rahe jaydatar bache bhi iske shikar h.
  • Hookah - Ye naya trend bana rakha h. Aaj ki generation isko pite huwe whatsapp status daalti h, Kya parents is baat se anjaan h?
  • Aaj jo chote bache Daniya daal kha rahe h, kal Miraj khayenge fir Pukar uske baad hookah excetra excetra...........
  • Ek baar Insaan nashe ka aadi ho gya uske baad aap use chodne bologe toh wo aapko apna dushman bana lega, so solution ye h ki hume aaj ke naye bacho ko nashe ke aadhi banne se bachane ke solution par baith kr baat krni chahiye.







            5. Education ki value ko sahi tarah nahi samajna
Education is Right - Azhar Khan
Education is Right - Azhar Khan
  • Education humara haq h.
  • Hum apne bacho ko school & classes me admission kara kr ye sochte h ki humara kaam ho gya, bache ki padhai ho gyi.
  • Agar aap chahte h ki aapke bache ki padhai ache se ho, toh movies dekhna chodkr bache ki padhai par nazar rakhe. Agar aapko nahi aata h toh kisi ki help lekr sikho. Aapke bache ke future ke liye itna toh karna padega,

6. Physical & Mental fitness ko ignore karna

Physical & Mental Health - Azhar Khan
Physical & Mental Health - Azhar Khan



  • Regular excercise toh dur ki baat h, mostly log zindagi me 1 baar bhi excercise nahi karte.
  • Mental fitness ka nahi hone ko Paagalpan samajna.
  • Jaanbuz kar sach jaante huwe bhi apne aap ko jhuti tasalli dena.



Bonus : Public Toilet ko samasya nahi samajna.
Public Toilet - Azhar Khan
Public Toilet - Azhar Khan

 Apnalaya Ke reports ke hisaab se Govandi me Jitne working toilets h usko agar population se compare kare toh 145 logo ke liye govandi me 1 toilet h. Baki aap samajdaar h.

Agar aap log yaha tak blog ko padh rhe ho toh mujhe khusi h ki mene ye blog likha because aap iski kadar jaante ho, Yaha tak padha h toh request h ab end tak padh lena.

Govandi me bahut saari achi baate h, usko hum appreciate krte h, magar discussion negative points ka h kyunki sudhar usi me karna h. 

 Govandi me problems bhi bahut saari h, blog me sabhi problems ko cover karna impossible h.


Agar hum ye soche ki hum sabhi problems ko ek saath khatam kar denge ya jo sabse badi problems h usko khatam kar dete h toh mujhe lagta h hum shuru hote hi khatam ho jayenge, Me ye maanta hun ki hum chote chote masle se shuru kare, dhire dhire Team ko badi aur majbut banaye aur aage bade.


Agar aapko mere vision par bharosa h & aap mere saath judna chahte ho toh is link par Click karke humare whatsapp group ko join kare.


Aapko blog pasand aaya ho toh apne doston, ristedaaron & har Govandikar ko share karen. Whatsapp Group ho ya Facebook Group sab jagah share kare. Comment karke ye batana na bhule ki aapko blog kaisa laga. Aapke comments mujhe naye blog likhne ke liye motivate karenge. 100 comments hone par lagega ki haan mera blog likhna sahi h & mujhe ye continue krna chahiye. 


Suggestions are always welcome in a positive way.



Thanks
Azhar Khan
Govandikar


This Blog is Sponser by Pioneers Tutorials - 7666-666-343.
   







Friday, May 8, 2020

Govandi Darshan

Location of Govandi In Mumbai Map
Location of Govandi in Mumbai 
Govandi - Mumbai aur Navi Mumbai ke bich ka main link h.
Govandi area Mumbai ke harbour Railway line ka Station & uske aas paas ke Ilaake ka naam hain.

Govandi ka naam Gaondevi Mata ( Hindu Goddess) se inspire hai.

Chale, Govandi ke baare me kuch facts ko dekhte h.



Govandi ki total population lagbhag 12 lakh hain. Ye 32.50 Square Kilometer me faila huwa h. Yaha par 1 Square Kilometer me 36,923 log rehte hain. Poore Mumbai ki baat kare toh Mumbai me 1 Square Kilometer me 32,303 log rehte hain. Survey ke hisaab se Mumbai Duniya ka fifth sabse ghani Aabadi wala shaher hain.


                                   Missing Things in Govandi  

Arial View of Govandi
  1. Malls ❌ 
  2. Cinema ❌
  3. Degree College ❌
  4. Tourist Spot ❌
  5. Government Hospital ❌
  6. Brand Showroom❌
  7. Historical value ❌
  8. Student Union ❌
  9. Digital Footprints ❌
  10. Call Center ❌
  11. Carrer Guidance Center ❌
  12. Corporate Office ❌
  13. Sports Academy ❌
  14. Entertainment Academy ❌
  15. Swachta ❌

                                                   Positive Things about Govandi

Govandi Railway Station
  1. Only Link  Mumbai ⇄ Navi Mumbai ✔️
  2. Open Ground for Sports ✔️
  3. Mostly Graduated Youths ✔️
  4. Potential Markets ✔️
  5. Railway Stations ✔️
  6. Roads Connectivity ✔️
  7. Economical Life ✔️
  8. Growing Business ✔️
  9. Well Organised Area ✔️ 
  10. Artificial Mountain ✔️
  11. Govandi Mandi ✔️
  12. M-Power Library ✔️



                                              Problems of Govandi

Drone Camera View of Govandi

  1. Lack of Quality & Value of Education.
  2. Irresponsibility of Parents towards Child upbringing.
  3. Limited scope of Extra Curricular Activities in Schools.
  4. Zero Practical exposure to students.
  5. Absence of Motivational Factor from society.
  6. Limited opportunities to Students, Business & Workers.
  7. Finite Guidance over Education & Business.
  8. Unorganised Business Sector.
  9. Addiction of Hookah,Smoking, Drinking & Drugs.
  10. High Crime rate creating bad influence on students.
Govandi Ki ek jhalak se toh ye saaf hota h ki Govandi me development ke bahut scope h, Me request karta hun Govandi ke Yuwa pidi se ki Apni Jawani ko waste na karke Govandi ke liye kuch karne ka soche. Agar Aap Govandi ke liye kuch karna chahte h toh Mujhse contact karne k liye Click Here.

Govandi ke problems ke solution pr me dusra blog banane start krunga agar is post par minimum 100 comments aate h toh.


Thanks
Azhar Khan
Govandikar


This Blog is Sponser by Pioneers Tutorials - 7666-666-343.


Reasons to Join Pioneers Tutorials

Reasons to Join Pioneers Tutorials H ello Parents/Guardian/Student, Q . Kya aap nahi chahte ki aapka bacha guarante ke saath pass ho ...